asir-e-hafiza ho aaj ke jahan mein aao mukalme ke liye asr ki zaban mein aao pae sabaat-e-taghayyur pukarte hue guzre chhaten shikasta hain niklo nae makan mein aao zamin ka waqt se jhagda hai khud nipatte rahenge kaha hai kis ne ki tum un ke darmiyan mein aao ye aath pahr ki duniya tumhein bataun ki kya hai nikal ke jism se kuchh der apni jaan mein aao tumhein tumhaari alif did mein main dekhna chahun nazar bacha ke zamane se mere dhyan mein aao