asir-e-jism hun miad-e-qaid la-malum

By shad-azimabadiFebruary 2, 2022
asir-e-jism hun mi'ad-e-qaid la-ma'lum
ye kis gunah ki padash hai khuda ma'lum
teri gali bhi mujhe yun to khinchti hai bahut
dar-asl hai meri mitti kahan ki kya ma'lum


kahan se laun ilahi wo durbin aankhen
ki ho ishaara-e-angusht-e-haq-numa ma'lum
safar zarur hai aur uzr ki majal nahin
maza to ye hai na manzil na rasta ma'lum


suni hikayat-e-hasti to darmiyan se suni
na ibtida ki khabar hai na intiha ma'lum
talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad'
hamin ko aap nahin apna muddaa ma'lum


33889 viewsghazalEnglish