ataq-e-shab mein sahar ke charagh raushan kar

By bakhsh-layalpuriOctober 28, 2020
ataq-e-shab mein sahar ke charagh raushan kar
qaba-e-dil hi nahin dil ke dagh raushan kar
kisi tariq se taza hawa giraft mein la
kisi sabil se apna dimagh raushan kar


masham-e-jaan mein basa khair-o-amn ki khushbu
phir is mahak se mohabbat ke bagh raushan kar
chhidak ke khun rag-e-dil haqir zarron par
sawad-e-manzil-e-jaan ke suragh raushan kar


salib utha ke kabhi kucha-e-sitam mein bhi chal
junun ki lau se bhi dasht-e-charagh raushan kar
rah-e-hayat mein wahm-o-guman ke sae hain
nazar mein azm-o-yaqin ke ayagh raushan kar


kabhi taqaddus-e-insan ke tu git bhi ga
kabhi to dil mein mohabbat ki aag raushan kar
89761 viewsghazalEnglish