aur honge wo jinhen zabt ka dawa hoga
By seemab-batalviNovember 18, 2020
aur honge wo jinhen zabt ka dawa hoga
har bun-e-mu se yahan zikr kisi ka hoga
husn kyun ishq ki tashhir pe shadan hai bahut
ishq ruswa hai to kya husn na ruswa hoga
ashk ban ban ke wo aankhon se tapak jaegi
kya khabar thi ki ye anjam-e-tamanna hoga
kahin ruswa na kare hairat-e-didar mujhe
aaj wo jalwa-e-mastur huwaida hoga
dil hi aashob-e-zamana ka sabab hai 'simab'
dil na hoga to koi hashr na barpa hoga

19826 viewsghazal • English