ayan hum apne khayalat kar ke dekhte hain agar wo chup hain to hum baat kar ke dekhte hain kabhi to un ki khamoshi ka raaz ifsha ho nazar se aaj sawalat kar ke dekhte hain kai dinon se wo milte nahin hain hum se magar qadam badha ke mulaqat kar ke dekhte hain nasib apna kabhi to chamak bhi sakta hai kahin pe din to kahin raat kar ke dekhte hain yahan jo dhup hai nafrat ki har taraf ‘taskin' chalo ki pyar ki barsat kar ke dekhte hain