azal ke qissa-go ne dil ki jo utari dastan kahin kahin se us ne to bahut sanwari dastan hua se jo sairbin purane mausamon ki hai suna suna ke thak gai meri tumhaari dastan kisi ka saya rah gaya gali ke ain mod par usi habib sae se bani hamari dastan meri jabin pe sanehat ne likhi hain arziyan ye arziyan hain hasraton ki ek bhaari dastan dil-e-kharab-o-khasta par nazar na tu ne ki bahaal ki us makan ki tere gosh sau guzari dastan