ba-har-lamha pighalta ja raha hun nae sanche mein dhalta ja raha hun meri manzil mere pesh-e-nazar hai magar raste badalta ja raha hun mere ashaar mera aaina hai main apna fan ugalta ja raha hun koi surat nikalo zindagi ki ki ab gham se bahalta ja raha hun safar to zindagi ki shart thahra na chalne par bhi chalta ja raha hun sahaara de rahi hain laghzishen ab ki 'jami' main sambhalta ja raha hun