baDh gaya gar mera israr to phir kya hoga
By sayed-anjum-jafriNovember 17, 2020
badh gaya gar mera israr to phir kya hoga
kar diya aap ne inkar to phir kya hoga
pad gaya sard ye bazar to phir kya hoga
na raha main bhi kharidar to phir kya hoga
log kahte hain ki main tark-e-talluq kar lun
na gaya tab bhi ye aazar to phir kya hoga
main jo bil-farz sar-e-tur chala bhi aaun
na hua aap ka didar to phir kya hoga
ishq ki rah pe tum chal to diye ho 'anjum'
na hua rasta hamwar to phir kya hoga

27460 viewsghazal • English