bahte pani mein jo surat Thahre
By ishaq-athar-siddiquiNovember 1, 2020
bahte pani mein jo surat thahre
mere hone ki zamanat thahre
us ke jalwe se mili hain nazren
ab kahan par meri qismat thahre
khud ko aaina-sifat dekhta hun
mujh mein kuchh der to qudrat thahre
tez-raftari-e-duniya kya hai
main bhi sochun jo ye haalat thahre
koi to kar-e-jahan ham-nafaso
jo mere waqt ki qimat thahre
mere hone ki zamanat thahre
us ke jalwe se mili hain nazren
ab kahan par meri qismat thahre
khud ko aaina-sifat dekhta hun
mujh mein kuchh der to qudrat thahre
tez-raftari-e-duniya kya hai
main bhi sochun jo ye haalat thahre
koi to kar-e-jahan ham-nafaso
jo mere waqt ki qimat thahre
60135 viewsghazal • English