bahut ji tarasta raha raat bhar
By January 1, 2017

bahut ji tarasta raha raat bhar
jo hum se bhi mil lo mulaqat bhar
bisat-e-tamanna ulatte ho kyun
ki bazi ye khelenge hum raat bhar
hai aaankhon mein tufan ba-qadr-e-junun
hai dil mein tamanna kharabaat bhar
nahin mangte masti-e-jawedan
hamein chahiye mai mudaraat bhar
zara dekh lo mere dil ki taraf
ye chhal-bal wadiat nahin raat bhar
ghar aai umand kar ghata chaar or
khulegi tabiat na barsat bhar
jo hum se bhi mil lo mulaqat bhar
bisat-e-tamanna ulatte ho kyun
ki bazi ye khelenge hum raat bhar
hai aaankhon mein tufan ba-qadr-e-junun
hai dil mein tamanna kharabaat bhar
nahin mangte masti-e-jawedan
hamein chahiye mai mudaraat bhar
zara dekh lo mere dil ki taraf
ye chhal-bal wadiat nahin raat bhar
ghar aai umand kar ghata chaar or
khulegi tabiat na barsat bhar
62743 viewsghazal • English