bahut KHubiyan hain hawas-kar dil mein

By rauf-razaNovember 14, 2020
bahut khubiyan hain hawas-kar dil mein
naya shor machta hai har bar dil mein
badan ko kaso aur bas muskura do
utar jao ab aakhiri bar dil mein


abhi mere chehre ki rangat alag thi
abhi ho rahi hai dhuan-dar dil mein
nae chand par ab ke sadqa karenge
salamat rahen sab gul o khar dil mein


hamein rizq ki kuchh zarurat padegi
dua pak rahi hai gunahgar dil mein
azanen huin subh raushan hui hai
chalo chal ke soen isi yar dil mein


main jaise hi us ki gali ko muda hun
na dil jeb mein hai na dildar dil mein
zamin ki chatai wo patthar ka takiya
kharidar dil mein na bazar dil mein


mahakta subuk sa uda ja raha hun
juta hi liye sare aghyar dil mein
ise kuchh na hone ka kitna yaqin hai
chhupa kar rakho ye kala-kar dil mein


'raza' aazmaya hua hai purana
chalo yar ghar ko chalo yar dil mein
42479 viewsghazalEnglish