barmala wo bhi agar hum ko dagha deta hai dil-e-betab use munh pe suna deta hai wo sitam-kesh jab aazar naya deta hai hum samajhte hain ki ulfat ka sila deta hai ishq ki aag to hai yun bhi fana ka paigham dil-e-na-fahm abas is ko hawa deta hai aazma leta hun ahbab ko gahe-gahe warna dene ko to har chiz khuda deta hai aur kuchh bhi ho magar is se to inkar nahin ishq insan ko insan bana deta hai main jo pita hun bila-nagha sharab ai waiz kyun tujhe chid hai agar mujh ko khuda deta hai rahbari wo hai ki aasuda-e-manzil ho koi warna rasta to har ek shakhs bata deta hai ab na kyun naz karun apni wafa-keshi par ab to khud dost mujhe dad-e-wafa deta hai saqi-e-bazm ka ye khas karam hai 'sahir' dekhte hi mujhe nazron se pila deta hai