be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahana-saz kuchh but bana liye hain chattanen tarash kar dil bhi bahana-saz hai gham bhi bahana-saz uzr-e-wafa ke sath jalate rahe charagh khulta hai ab ki dida-e-nam bhi bahana-saz pabandi-e-rusum-o-wafa bhi bahana-khu tark-e-wafa-o-shewa-e-ram bhi bahana-saz har lamha-e-hayat ka tanha raha wajud dildari-e-nigah-e-karam bhi bahana-saz kuchh dur sath sath the itna to yaad hai sahra-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahana-saz sab se bada fareb hai khud zindagi 'ada' is hila-ju ke sath hain hum bhi bahana-saz