be-maqsad jab shor machaya jata hai

By karamat-bukhariMay 1, 2021
be-maqsad jab shor machaya jata hai
aksar is mein zulm chhupaya jata hai
patte khud hi tahni chhod ke girte hain
mausam par ilzam lagaya jata hai


sadiyon pyasi is dharti ke sine par
qatra qatra meinh barsaya jata hai
lafzon ke ambar laga kar kaghaz par
mani ko is mein dafnaya jata hai


is duniya mein jurm chhupane ki khatir
jurm wahi aksar dohraya jata hai
badhne phalne phulne wale sapnon ko
bachpan mein hi qatl karaya jata hai


muflis ko insaf dilane walon ka
daulat se darbar sajaya jata hai
87803 viewsghazalEnglish