be-samar mausamon mein janmi hun

By shahnaz-parveen-saharMay 27, 2021
be-samar mausamon mein janmi hun
zard patton ka dukh samajhti hun
raftagan bhed odh lete hain
apne abba ki qabr dhundhti hun


mera bachpan bichhad gaya mujh se
ek saheli se ruth baithi hun
khamushi ki guphaon mein aksar
apni aawaz sun ke sahmi hun


ghar ki diwar mein hi rahta hai
ek sae se darti rahti hun
mujh ko barish aziz hai lekin
khidkiyan band kar ke roti hun


khwab hain ya khayal ki duniya
raftagan ke qarib rahti hun
wo jo ek bewafa ki khatir the
ab unhi aansuon pe hansti hun


aap hi apni man rahi hun 'sahar'
man hi jaisi dikhai deti hun
61990 viewsghazalEnglish