be-zamiri ka pata deta raha

By sada-neotanviFebruary 1, 2022
be-zamiri ka pata deta raha
zarf tha khali sada deta raha
dekhne ki hum ne zahmat hi na ki
hath mein wo aaina deta raha


chashm-e-nam ranj-o-mehan ke sath sath
waqt hum ko tajraba deta raha
aur kya karta gharibon ka ilaj
padh ke pani par dawa deta raha


sun ke wo karte rahe the an-suni
phir bhi main un ko sada deta raha
ai 'sada' mujh ko to bas mera yaqin
har qadam par hausla deta raha


21602 viewsghazalEnglish