betab to kafir hai musalman nahin hai
By betab-amrohviDecember 30, 2021
'betab' to kafir hai musalman nahin hai
aur is pe sitam ye ki pasheman nahin hai
ye ishq ki manzil hai zara soch-samajh kar
ye tajraba apna hai ki aasan nahin hai
har baat pe kahte ho jo aamin kai bar
kya tum ko meri baat par iman nahin hai
wo dil mein mere dil ke liye soch rahe hain
mil jae agar muft to nuqsan nahin hai
ab to sar-e-baalin mere roo na khudara
dekho to ki is jism mein ab jaan nahin hai

67738 viewsghazal • English