bhala zamin se milta hai aasman kahan

By rahib-maitreyaSeptember 29, 2023
bhala zamin se milta hai aasman kahan
ye do badan kabhi hote hain ek jaan kahan
tamam 'umr mujhe ye pata chala hi nahin
kahan hai ruh kahan dil hai aur jaan kahan


udhar khushi hi khushi hai idhar hai gham hi gham
tera fasana kahan meri dastan kahan
jien watan ke liye aur maren watan ke liye
hamare mulk mein ab aise sakinan kahan


badan to mera zamin kab ki kha gai hoti
zamana dhund raha hai mere nishan kahan
77209 viewsghazalEnglish