bichhaD ke tujhse mujhe dukh to hai malal to hai

bichhad ke tujh se mujhe dukh to hai malal to hai
magar ye pyar nibhana bhi ek kamal to hai

karam sahi na sahi ab tere sitam hi sahi
yahi bahut hai ki tujh ko mera khayal to hai

main is khayal se shohrat se dur rahta hun
uruj kitna bhi ho ek din zawal to hai

main bujh gaya hun zamane ki aandhiyon se magar
mera wajud sulagta hua sawal to hai

na chah kar bhi mera zikr karte rahte hain
mukhalifon mein ye khubi to hai kamal to hai

main mutmain hun buzurgon se rabta rakh kar
juda hua mere mazi se mera haal to hai

zaif bap ka saya bhi kam nahin 'ejaz'
mahaz-e-zist mein ye nam ek dhaal to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close