bichhDa hai kaun mujhse kahan ye KHabar na do

By wafa-siddiquiMay 21, 2021
bichhda hai kaun mujh se kahan ye khabar na do
mud mud ke dekhna pade aisa safar na do
dil ki basiraton se jo rishta hi tod de
aankhon ko meri dosto aisi nazar na do


har shahr aur ganw mein jauhar-shanas hain
wade tasalliyon ke ye rangin guhar na do
wo pattharon ke shahr se aaya hai laut kar
shishe ke ghar kahan hain use ye khabar na do


nezon pe jo buland rahen wo qubul hain
qatil ke aastan pe jhuken aise sar na do
mujh se kisi ke naz uthae na jaenge
shohrat meri wafa ko 'wafa' dar-ba-dar na do


54825 viewsghazalEnglish