bijli ki zad mein ek mera aashiyan nahin

By ghani-ejazOctober 30, 2020
bijli ki zad mein ek mera aashiyan nahin
wo kaun si zamin hai jahan aasman nahin
bulbul ko gham hai gul ke nigahban nahin rahe
gulchin hai khush ki ab koi daman-kashan nahin


manzil ka milna zauq-e-tajassus ki maut hai
achchha hai jo hayat meri kaamran nahin
chashm-e-karam nahin nigah-e-khashmagin to hai
na-mehrban to hain wo agar mehrban nahin


wo apni apni tarz-e-takallum ki baat hai
gul mahw-e-guftugu hain go munh mein zaban nahin
92639 viewsghazalEnglish