bul-hawas kam-fahm hai wo aadmi nadan hai jo ye samjha ishq kuchh mushkil nahin aasan hai kab main kahta hun ki meri jaan meri jaan hai aap ki hai banda-parwar aap par qurban hai be-khudi ke baad kya guzri nahin kuchh bhi khabar jalwa-gah-e-naz tak pahuncha bas itna dhyan hai kis ke jalwe se hai be-khud anjuman ki anjuman har bashar taswir hai har aaina hairan hai mushaf-e-rukhsar-e-jaanan par numud-e-khat nahin dekhne walo ye hai tafsir wo quran hai us jagah pahuncha jahan qudsi bhi ja sakte nahin dar-haqiqat aadmi ki shan bhi kya shan hai us ke bande bandagi karte hain lekin ai buto tum khudai kar rahe ho ye khuda ki shan hai kya chhupoge tum wahan wo kuchh tumhaara ghar nahin hashr ka maidan aakhir hashr ka maidan hai aarzu mitne ki thi rah-e-talab mein mit chuke aur ab ai hazrat-e-dil kahiye kuchh arman hai aadmi to sab hi kahlate hain lekin khalq mein us ka rutba aur hai jo aadmi insan hai 'sabir'-e-asi ke isyan kyun na bakhshega khuda wo bada ghaffar hai sattar hai rahman hai