but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain

By riyaz-khairabadiNovember 14, 2020
but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain
mera khuda unhen samjhe khuda samajhte hain
ada-shanas ki apne ada samajhte hain
ki be-kahe wo mera muddaa samajhte hain


samajhne wale tumhaari ada samajhte hain
wo aur kuchh hai jise sab qaza samajhte hain
falak ka nam na le koi samne un ke
wo us ke zikr ko apna gila samajhte hain


mujhe ye aap ke sar ki qasam na tha malum
ki aap bhi rah-o-rasm-e-wafa samajhte hain
ye shokhiyan bhi hasinon ki kya qayamat hain
shab-e-visal ko roz-e-jaza samajhte hain


ye din shabab ke hain koi kya kahe un ko
abhi wo kuchh nahin achchha bura samajhte hain
tumhaare khoe huon ka ajib maslak hai
jo rahzan bhi mile rahnuma samajhte hain


shab-e-visal mere ham-nashin se farmaya
yahi to hain jo hamein bewafa samajhte hain
khuda kare kahin mauqe se mujh ko mil jaen
yahi hasin jo mujhe parsa samajhte hain


hamein ye haq hai tera munh bhi chumte jaen
ki tere shikwa-e-beja baja samajhte hain
na mana kar mai-o-mashuq se hamein waiz
ki hum shabab mein sab kuchh rawa samajhte hain


khuda ki shan ye kothon ke baithne wale
hamari aah ko ab na-rasa samajhte hain
'riyaz' ishq mein kafir buton ke hai be-khud
maza ye hai wo use parsa samajhte hain


29617 viewsghazalEnglish