chaman ki sair bhi kafi rahi ana ke liye

chaman ki sair bhi kafi rahi ana ke liye
saba ne phul ke bose mujhe dikha ke liye

khuda ki naw mein patwar rakh diye gae hain
khud ek khuda ke liye ek nakhuda ke liye

kisi ne waqt pe rutbe liye chala ke hawa
kisi ne waqt mein rutbe diye jala ke liye

is imbisat ka hum ko mila na ushr-e-ashir
maze jo bachchon ne mitti ke ghar bana ke liye

tumhaari aankhen jo dekhin to ye khayal aaya
kahin to khidki khuli hai koi hawa ke liye

hamara rehn-sahan hi duaiya sa hai
hum apne hath uthate nahin dua ke liye

nizam-e-zarf ajab falsafe pe chalta hai
jaza saza ke liye hai saza jaza ke liye

jo phul main ne kharide wo us ke hath mein hain
jo phul us ne liye mujh se bhi chhupa ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close