chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai

By kamal-lakhnaviJanuary 16, 2022
chaman mein koi kali jab bhi muskuraati hai
mujhe kisi ke tabassum ki yaad aati hai
hamari tira-shabi is sahar se kya mange
jo dusron se ujalon ki bhik pati hai


chaman mein dekh ke phulon ki chaak-damani
bahaar apne lahu mein nahae jati hai
gawah hain ye shab-e-gham ke dubte tare
kisi ki yaad mein mushkil se nind aati hai


isi bahaar par itra rahe hain ahl-e-chaman
nae nae jo gulistan mein gul khilati hai
hum aisi naw ke hain nakhuda muqaddar se
bhanwar se bach ke jo sahil pe dub jati hai


fareb dene gulistan ke zimma-daron ko
libas-e-waqt badal ke bahaar aati hai
sahar ko hogi ye mahfil na daur-e-jam-o-subu
'kamal' hosh mein aao ki raat jati hai


70371 viewsghazalEnglish