charagh aankh ki sab boliyan samajhte hain

By rahman-hafeezFebruary 23, 2021
charagh aankh ki sab boliyan samajhte hain
ye hum se puchh jo aisi zaban samajhte hain
baha ke le gaya sab khadd-o-khal ahd-e-shabab
hum aaine ko bhi aab-e-rawan samajhte hain


hamein azal se mohabbat sikhai jati hai
hum ahl-e-harf yahi ek zaban samajhte hain
jahan yaqin ke tajassus ki aankh band na ho
use ilaqa-e-wahm-o-guman samajhte hain


utha chuka hai takallum tamam parde magar
hum an-kahi ko abhi darmiyan samajhte hain
tabah ki gai duniyaon ka ghubar na ho
hum ahal-e-khak jise kahkashan samajhte hain


hamara bojh kisi aur ne uthaya nahin
to hum bhi kya use bar-e-garan samajhte hain
80015 viewsghazalEnglish