charagh ka qad badhane walon ki khair ya rab hawa ko dushman banane walon ki khair ya rab musafiron ko jo dhup mein chhanw de rahe hain ye ped-paude lagane walon ki khair ya rab hum is se pahle to sirf nafrat ko jaante the hamein mohabbat sikhane walon ki khair ya rab main dar raha hun ki bhaw roti ka badh gaya hai ye zahr sasta hai khane walon ki khair ya rab ye khud hi mujh ko bulandiyon par bitha rahe hain ki mujh ko nicha dikhane walon ki khair ya rab main sadqe jaun ki kitni shirin zaban hai urdu charagh-e-urdu jalane walon ki khair ya rab hum aise shair unhin ke dam par uchhal rahe hain sukhan ki bazmen sajaane walon ki khair ya rab