chehre pe damak uThta hai jab rang-e-haya aur
By sameena-syedNovember 17, 2020
chehre pe damak uthta hai jab rang-e-haya aur
aise mein maza deti hai apni hi ada aur
gar jaan bhi meri jae to banhon mein tumhaari
dil mein koi khwahish hi nahin is ke siwa aur
dar chhod ke tera to kahin ja na sakungi
kafir to nahin hun jo bana lungi khuda aur
har chand ki ghayal hun magar sans hai baqi
jine ki mujhe dijiye ab koi saza aur
likhne hain mujhe khwab ke pannon pe ujale
aankhon mein jala lungi 'samina' main diya aur

40143 viewsghazal • English