chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai
By rahib-maitreyaSeptember 29, 2023
chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai
hamein khabar hai khabar kya tera irada hai
ye tang-zehn na samjhenge is haqiqat ko
tumhaari bazm mein kis kis ka dil kushada hai
bahut sanbhaal ke rakhiyega meri mitti ko
ye khak-dan meri khwahish ka ek labaada hai
bas ek samt hi chalne ka hukm hai us ko
ye aadmi kisi shatranj ka piyaada hai
sukun ka hi maza hai na iztirab ka lutf
khushi bahut hai na gham hi bahut ziyaada hai
mujhe ziyaada na dena meri zarurat se
ho darmiyani rawish bas yahi irada hai
main tera sath na chhodunga maut se pahle
meri hayat mera tujh se itna wa'da hai
farishta ho ke bhi insan jaisa hai 'rahib'
mere habib ka andaz kitna sada hai

95419 viewsghazal • English