dar pe rahe ye dida-e-giryan tamam-umr lekin bujhi na aatish-e-hijran tamam-umr dala hai us ko jazb-e-mohabbat ne chah mein dekha na jis ne tha kabhi zindan tamam-umr waqe mein ye hai harf-e-shikayat bhi kya kahen nikla na koi jo mera arman tamam-umr pamal ko bhi hum ne kiya apna ham-jalis chhana kiya main khak-e-bayaban tamam-umr raaton ko mere waste uthta hai bar bar bhulunga dard-e-dil ka na ehsan tamam-umr kya mujh ko apni yaad se khilqat ne kho diya samjha kiya main aap ko insan tamam-umr 'arif' likhen hain is mein mazamin-e-intishaar howega jama mera na diwan tamam-umr