dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha
By hairat-farrukhabadiOctober 31, 2020
dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha
apne hone ka wo ehsas dilata hi raha
wo kharidar to muddat hui aata hi raha
main dukan hiron ki palkon pe sajata hi raha
hae wo us ke juda hone ka manzar yarab
wo chala bhi gaya main hath hilata hi raha
gahri tariki thi sannata tha par ek jugnu
raushni ka mujhe ehsas dilata hi raha
har naya daur nae le ke charagh aaya kiya
ek andhera sa magar zist pe chhata hi raha
meri bezar tabiat ko sukun mil na saka
yun to har roz teri bazm mein jata hi raha
na samajh paya ye insan mazahib ke husul
ghar yahan bhai ka khud bhai jalata hi raha
ab ke baadal ko khuda jaane hua kya aisa
jab bhi barsa to hari fasl jalata hi raha
sara din us ke tasawwur se hua ki baaten
khwab ban ke meri raaton ko sajata hi raha
sher-o-fan us ka hai mamnun dabi aahon mein
apne gham se meri ghazlon ko sajata hi raha
waqt ke sath badal jata main lekin har pal
mera mazi mujhe aaina dikhata hi raha
ek masum sa pakiza sa jazba 'hairat'
jab bhi bahka to mujhe rah pe lata hi raha

41486 viewsghazal • English