dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho

dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho
nannhe-munhe ghunchon se khud-kushi karane ka mashghala mubarak ho

par-burida bulbul ne jis jagah bhi tinkon se ghonsle banae the
wo chaman jalane ko ab bhi tere hathon mein saiqa mubarak ho

tu ne jin bechaaron ke kam-sinon ki lashon par pa-e-takht rakkhe hain
un ke jism-e-uryan par tere jabr-e-be-ja ka dabdaba mubarak ho

khun baha chuka ab tak to jawan parindon ka chat lag chuki tujh ko
ab se shir-khwaron ke taza khun-e-arzan ka zaiqa mubarak ho

sufiyon buzurgon ne naqsh-e-pa jo chhode the sab mita diye tu ne
waqt ke darinde ab kusht-o-khun ka ek ek rasta mubarak ho

jabr-e-mujrimana se tu chaman pe qabiz hai ab bhi tasfiya kar le
warna gulsitan tera kal jahan ke naqshe par sar kata mubarak ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close