dauran-e-jang himmat-e-mardana chahiye himmat agar nahin hai to mar jaana chahiye ye kya ki buz-dilon ki tarah guftugu karen pesh-e-harif shan-e-harifana chahiye tera har e'tiraaz sar aankhon pe hai magar andaz-e-e'tiraaz sharifana chahiye zor-e-bayan nahin na sahi waqt-e-guftugu tarz-e-sukhan ba-rang-e-kalimana chahiye pani mein rahna hai to na rakkhen magar se bair az-rah-e-maslahat sahi yarana chahiye bujhte hue dilon ko jo tahrik de sake kirdar aisa hausla-mandana chahiye 'rahbar' kisi ki ham-safari ho jahan se bar tum ko usi maqam se laut aana chahiye