dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta wo meri aankhon ko rangin khwab kya deta thi meri aankhon ki qismat mein tishnagi likkhi wo apni did ki mujh ko sharab kya deta kiya sawal jo main ne wafa ke qatil se zaban pe qufl laga tha jawab kya deta main chahta tha ki us ko gulab pesh karun wo khud gulab tha us ko gulab kya deta wo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi maktab main us ke hath mein dil ki kitab kya deta mere nasib mein mitti ka ek diya bhi na tha teri hatheli pe main aaftab kya deta main us se pyas ka shikwa na kar saka 'afzal' jo khud hi tishna tha wo mujh ko aab kya deta