der nahin haram nahin dar nahin aastan nahin main ne wufur-e-shauq mein sajda kiya kahan nahin mana ki musht-e-khak hun phir bhi mujhe ye fakhr hai meri nigah se pare wusat-e-do-jahan nahin khun-e-dil-e-gharib se sinch sake na jo chaman nang-e-chaman hai wo bashar hasil-e-gulistan nahin bar-e-shab-e-firaq se shisha-e-dil hai chur-chur phir bhi hain muskurahaten lab pe mere fughan nahin tere gham-e-firaq mein mere labon pe aaj-kal naghma-e-zindagi nahin baada-e-arghawan nahin fasl-e-bahaar ke liye main ne bhi khun-e-dil diya daur-e-bahaar mein magar mera kahin nishan nahin