dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai jaana-pahchana lagta hai shayad koi apna hai bikhre bikhre lamhon mein ek aisa bhi to lamha hai girte girte raste par jab us ne mujh ko thama hai moti jaisi pyari aankhen lekin in mein aansu kyon furqat apni chand roza hai hum ko to phir milna hai kitne nadan the hum donon duniya se lad padte the waqt ne lekin yaad dilaya duniya mein hi rahna hai dil ke tute darwaze par phir ehsas ne dastak di raat ke kale aanchal mein phir koi tara chamka hai thande thande chand ke tukde uthle uthle dariya mein nile pile charkh-e-barin par suraj jalta bujhta hai chand sitare phul ujale titli kaliyan rang hazar mera paikar to lagta hai ek taswir ka hissa hai kaisi achchhi dhup khili hai mere ujde aangan mein aakhiri rukhsat lene shayad mere ghar wo aaya hai tu ne to israr kiya tha mujh se ab wo rabt nahin jate jate phir kyon tu ne mujh ko mud kar dekha hai us ke mere bich mein hail ek lakir na-dida hai jis ke aage panw badhana na-mumkin sa lagta hai