dil agar dil hai to har haal mein ruswa hoga

dil agar dil hai to har haal mein ruswa hoga
jab gham-e-ishq na hoga gham-e-duniya hoga

aql darti hai maal-e-gham-e-dil kya hoga
ishq kahta hai ki har haal mein jina hoga

lut gaya ishq ki nazron ka wo saman-e-shakeb
ab tera husn jahan bhi ho tamasha hoga

saz-e-dil tishna-e-mizrab hai mayus na ho
ek din naghma-e-ummid bhi paida hoga

shab-e-gham aah ye andoh ye uljhan ye tadap
sochta hun ki maal-e-shab-e-gham kya hoga

dil hai aur talkhi-e-gham hath hain aur saghar-e-mai
kya khabar thi hamein ye zahr bhi pina hoga

wo dilaen to jafaon ke tasalsul ka yaqin
is se badh kar koi inam-e-wafa kya hoga

aane wali hai mohabbat ki wo manzil 'shahid'
jab hamein yas pe ummid ka dhoka hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close