dil ki diwar mein aaina rakha tha kis ne

By kishwar-naheedNovember 14, 2020
dil ki diwar mein aaina rakha tha kis ne
mujh ko pahchante rahne ko kaha tha kis ne
dushman-e-jaan tere hathon mein to patthar bhi na tha
lazzat-e-khwab ko nam-dida kiya tha kis ne


ab bahut dur nikal jaane ko ji chahta hai
mujh ko jate hue diwana kaha tha kis ne
us ki aankhon mein bulawa hi na tha sach ye hai
ai shab-e-hijr tujhe sath kiya tha kis ne


anjuman anjuman qisse the hamare kal tak
aaj virani ko aankhon mein rakha tha kis ne
nam to us ka bhala sa tha magar yaad nahin
siskiyan le ke tujhe yaad kiya tha kis ne


36126 viewsghazalEnglish