dil mein un ka KHayal aata hai

By abu-mohammad-wasil-bahraichiOctober 23, 2020
dil mein un ka khayal aata hai
aur pahron mujhe rulata hai
bas tu hi tu hai har taraf maujud
koi aata hai aur na jata hai


aankhon aankhon mein le liya dil ko
aur dil mein koi samata hai
zulmaton ka guzar kahan mumkin
un ka raushan khayal aata hai


apni surat kahan rahi 'wasil'
un ki surat ka sab tamasha hai
72379 viewsghazalEnglish