dil mera muztar bahut paiham raha zindagi mein jab musalsal gham raha mehrban tha kuchh tasawwur is tarah hijr mein bhi wasl ka aalam raha manzilen us ka muqaddar ban gain azm jis insan ka mohkam raha kis taraf le aai hai ye zindagi waqt hum par mehrban kam-kam raha phir kisi ke talkh lahje ke sabab ye charagh-e-arzu maddham raha qahqahon ke sath aansu the rawan raat wahshat mein ajab aalam raha jab bhi dekha aaina 'zaryab' ne aks mazi ka bahut maddham raha