dil na raushan hua daulat ke parastaron ka

dil na raushan hua daulat ke parastaron ka
nur badhta hi raha shahr ke minaron ka

zakhm riste hue ban jata hai aksar nasur
kaam marham ne kiya ho jahan angaron ka

rail ki patri pe rakkhi hai wo gathri dekho
jurm poshida raha jis mein siyah-karon ka

mahw-e-hairat hun wahan izzat-e-fankar gai
chal gaya sikka jahan hashiya-bardaron ka

zindagi ashk-e-nadamat liye phirti hai 'rais'
roz uthta hai janaza yahan fankaron ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close