dil ye jis aarzu se Darta hai

By ahmad-sageerApril 8, 2023
dil ye jis aarzu se darta hai
raat-din us ke tain hi marta hai
dukh jlawan se zehn bhatti par
yaaden pakti hain pet bharta hai


sham ke ba'd sher hote hain
sham ke ba'd gham utarta hai
ek na-bina ishq sham-o-sahar
yusufistan ki sair karta hai


dil-girafta udasiyon ke darun
ek tabassum bada akharta hai
ya badan hai ya ishq hai karan
be-wajah kaun hi sanwarta hai


47018 viewsghazalEnglish