diwana apna kaun sa aalam dikha gaya un ke labon pe ek tabassum sa aa gaya muddat se zindagi mein nahin koi inqalab shayad tera firaq mujhe ras aa gaya tum par hi kuchh asar na hua aur barha dushman bhi mere haal pe aansu baha gaya un se barah-e-rast hui jab na guftugu ashkon ke waste se payam-e-wafa gaya naqsh-o-nigar-e-daman-e-sahra ko ho nawed main yani ek aabla-pa aur aa gaya ab is ka kya ilaj ki un ka har ek sitam kuchh aur e'timad-e-mohabbat badha gaya wo bazm aur jurat-e-izhaar-e-zindagi ek main hi tha ki tohmat-e-hasti utha gaya afsurda bazm-e-mah ho ya shama-e-ashk-bar parwana apna jashn-e-charaghan mana gaya un ka karam to aaj bhi hai dastgir-e-shauq 'basit' magar hamin mein koi farq aa gaya