dukh se ghairon ke pighalta kaun hai khud se bahar ab nikalta kaun hai barf si tasir sab ki ho gai zulm sah kar ab ubalta kaun hai ghair ko hi sab badalne mein rahe apni fitrat ko badalta kaun hai chhod do us ko usi ke haal par ishq mein pad kar sambhalta kaun hai zindagi bhar jo na khae thokaren khol kar aankhen yun chalta kaun hai dur mujh se ho gaya bachpan magar mujh mein bachche sa machalta kaun hai khwahishon par qaid 'kalkal' kyun lage umr ke sanche mein dhalta kaun hai