duniya ke har KHayal se begana kar diya

By fana-bulandshahriOctober 29, 2020
duniya ke har khayal se begana kar diya
husn-e-khayal-e-yar ne diwana kar diya
tu ne kamal jalwa-e-jaanana kar diya
bulbul ko phul shama ko parwana kar diya


mashrab nahin ye mera ki pujun buton ko main
shauq-e-talab ne dil ko sanam-khana kar diya
un ki nigah-e-mast ke qurban jaiye
mere junun ko hasil-e-mai-khana kar diya


thukrae ya qubul kare us ki baat hai
hum ne to pesh jaan ka nazrana kar diya
tere khiram-e-naz pe qurban zindagi
naqsh-e-qadam ko raunaq-e-virana kar diya


mai-khana-e-alast ka wo rind hun 'fana'
jis par nigah dal di mastana kar diya
93988 viewsghazalEnglish