dur tak jin ka koi naqsh nahin hai yaro

By sarwar-abidiMarch 1, 2021
dur tak jin ka koi naqsh nahin hai yaro
aise hi qadmon pe apni bhi jabin hai yaro
ek sauda-e-mohabbat ke siwa duniya mein
mera sarmaya-e-dil kuchh bhi nahin hai yaro


hum ne sar kham na kiya sang-zanon ke aage
bas isi jurm pe majruh jabin hai yaro
wo bhi tanhai mein rota hai mere dil ki tarah
jaane kyon mujh ko ye rangin yaqin hai yaro


dil giran-bar agar ho to nazaron ki qasam
subh pur-kaif hai na sham hasin hai yaro
wo to sarshaar-e-gham-e-ishq hai aur kuchh bhi nahin
kaun kahta hai ki 'sarwar' bhi hazin hai yaro


36192 viewsghazalEnglish