ek barhaman ne kaha hai mere haal-e-zar par

ek barhaman ne kaha hai mere haal-e-zar par
ho ke momin mar raha hai kyun but-e-pindar par

dekh kar barish ki bunden sochta rahta hun main
ro raha hai aasman bhi aaj hijr-e-yar par

jaane kitne aashiqon ki jaan ka dushman hai ye
jo hasin dimpal pada hai aap ke rukhsar par

hai mariz-e-ishq to mahbub ke pahlu mein ja
is maraz ki to dawa milti nahin attar par

yun laga us gul-badan ko aaj chhu lene ke baad
ungliyan rakh di hon main ne jaise nok-e-khar par

sher kab main ne kahe hain khun thuka hai 'bilal'
dad to banti hai sahab mere in ashaar par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close