ek muddat dhadakta raha mera dil aap ki rah takta raha mera dil ek kali si khili thi tamannaon ki ek arsa mahakta raha mera dil shahr hairan hain meri rudad par dasht mein kyun bhatakta raha mera dil itni kanton bhari rahguzar thi meri har qadam par atakta raha mera dil izn-e-izhaar mil bhi gaya tha magar kis liye phir jhijakta raha mera dil