ek safar par use bhej kar aa gae

By sabir-waseemNovember 14, 2020
ek safar par use bhej kar aa gae
ye guman hai ki hum jaise ghar aa gae
wo gaya hai to khushiyan bhi sari gain
shakh-e-dil par khizan ke samar aa gae


lakh chaho magar phir wo rukte nahin
jin parindon ke bhi baal-o-par aa gae
hum to raste pe baithe hain ye soch kar
jo gae the agar laut kar aa gae


us se mil ke bhi kab us se mil pae hum
bich mein khwahishon ke shajar aa gae
us ne us par apna basera kiya
hum ne dariya ko chhoda idhar aa gae


ek dushman se milne gae the magar
ek mohabbat ke zer-e-asar aa gae
88723 viewsghazalEnglish