faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak

faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak
tarik hai insan ka anjam abhi tak

maikhane mein hai tishna-labi aam abhi tak
gardish mein mohabbat ke nahin jam abhi tak

chhina hai sukun dahr ka arbab-e-khirad ne
hain ahl-e-junun morid-e-ilzam abhi tak

wamanda-e-manzil hai jo ai rah-raw-e-shauq
shayad hai tera zauq-e-talab kham abhi tak

is duar-e-sukun soz-o-pur-ashob mein ai dost
mayus nahin hai dil-e-nakaam abhi tak

rukhsat hua go daur-e-khizan fasl-e-gul aai
gulshan ke wahi hain sahar-o-sham abhi tak

pahuncha to bashar rifat-e-mirrikh-o-qamar par
qabu mein nahin gardish-e-ayyam abhi tak

duniya ne jise rifat-e-faran se suna tha
hai amn ka zamin wahi paigham abhi tak

go tabish-e-anwar se khira hain nigahen
hai subh ke rukh par asar-e-sham abhi tak

nadim to hain wo qatl pe arbab-e-wafa ke
lekin sar-e-fihrist hain kuchh nam abhi tak

saqi tere maikhane ki tanzim-e-ghalat par
sunte hain ki rindon mein hai kohram abhi tak

dhabba nahin go daman-e-tahzib pe lekin
milte hain yahan banda-e-be-dam abhi tak

muddat hui kuchh rabt nahin sher-o-sukhan se
hota hai mere qalb ko ilham abhi tak

is par bhi nigah-e-karam ai fatir-e-hasti
'zauqi' hai rahin-e-gham-o-alam abhi tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close